Shikwa'e tashna labi kis se kar'e dil saaqi
Kaun munsif hae yahaN kaun hae aadil saaqi
Kaaba'e dil pay machi loot hae abraahoN ki
Sangreze hi rahe ub na ababil saaqi
Qism'e shukraana'e yezdaN hae shagoofta rehna
Qaid'e mausam se nikal gul ki tarah khil saaqi
Sohbat'e zaagh meN seekha yeh sabaq hae warna
Fitratan ma'soom wa kHoosh kHoo hae anaadil saaqi
Tujh ko Aazadi hae darkaar to Saadiq bun ja
Tegh'e haq goi se katTi hae salaasil saaqi
Tuesday, March 17, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment