
Tu jo sachchi hai larazti kyun hai
aye zaban bol de darti kyun hai
koi sunta nahin shikwa kaisa
ye ibaarat tujhe jachti kyun hai
qalb men khowfe khuda hai tere
phir zuban sach se jhijhakti kyun hai
shewa haqgoi hai jiska duniya
usko naadan samajhti kyun hai
kya zamane ka khowf lahaq hai
chaal men teri ye susti kyun hai
tu to SADIQ hai ye ghutna kaisa
ye thakan si tujhe lagti kyun hai

No comments:
Post a Comment